Pages

Showing posts with label #Holi. Show all posts
Showing posts with label #Holi. Show all posts

Thursday, March 21, 2019

रंगों की दुनिया और मैं - Rangon ki Duniya aur Main



रंगों में सराबोर है ये दुनिया मेरे इन स्याह दीवारों के बाहर,
सोचता हूं झांक कर आऊं खिड़की के उधर,
मगर जनता हूं अंधेरों से उजाले को देखने पर आंखें चौंधिया जाती हैं,
आदत ना हो रंगों की तो खून की सुर्ख़ी भी बेरंग नज़र आती है,
कैद में रहते- रहते सलाखें भी दोस्त समझ आती है,
मदहोश ज़माना है, बेहोश मैं भी,
उन्हें ज़िन्दगी की धुन और मुझे मौत की आहट सुनाई देती है।

Rangon mein sarabor hai ye duniya mere in siah deewaaron ke bahar,
Sochta hun jhaank kar aaun khidki se udhar,
Magar janta hu andheron se ujale ko dekhne par ankhen chaundhiya jaati hai,
Adat na ho rango ki to khoon ki surkhi bhi berang nazar ati hai,
Quaid mein rahte rahte salakhen bhi dost samajh aati hai,
Madahosh zamana hai, behosh main bhi,
Unhe zindgi ki dhun aur mujhe maut ki aahat sunai deti hai!